in ,

dard ko hum pyar ke qabil samjh baithe

ek be-dard ko hum pyar ke qabil samjh baithe
khata apni thi pathar ko dhadkata dil samjh baithe,

fareb e aarzoo tha jis ko humne pyar samjha tha
bhanwar tha jis ko hum taqdeer ka sahil samjh baithe,

wo rishta jis ko ek din khwaab ban kar toot jana tha
us rishte ko hum apni umar ka hasil samjh baithe,

ab ek lamba safar hai yahan ajnabi raahon ka
wo ik nazaron ka dhokha tha jise manzil samjh baithe

Wo Khud Nahi Jaanti Wo Kitni Pyari Hai

Jeeney Ki Aadat Hogayee