होम Sad Shayari Judai K Es Mosam Main

Judai K Es Mosam Main

· · ♡ 79 views ·
Advertisement

Judai K Es Mosam Main,
Utarti Shaam Se Pehle,
Meri Yakh-Basta Aankhon Main,
Khamoshi Raqs Kerti Ha,
To Us Ki Yaad Ki Payal,
Yun Mere Kaan Men Aa Ker,
Mussalsal Chanchhanati Ha,
To Phir Yak-Dam Khamoshi Ka,
“Tassalsul” Toot Jata Ha,
Phir Aise Men Koi “Koyal”,
Bare He Qarb Se Kookey,
To Yun Mehsoos Hota Ha,
K Jese Be-Sabab Koi,
Kisi Ko “Yaad” Kerta Ha.,!¡..

Advertisement
Advertisement
Sam
लेखक

Sam

मोहब्बत, रिश्तों और एहसासों से जुड़े खूबसूरत शब्दों और शायरी के माध्यम से दिल की बात कहने की कोशिश।

लेखक की और शायरी पढ़ें →
अगर पसंद आई, तो शेयर करें